Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak Part 4

Doston aap ne padha ki Kaise Pawan aur Rider dushman se dost ban gaye. Kaise Pawan mein itni himmat aa gayi ki wo haalat ka dat kar saamna karna sikh gaya. Jo ab uske bahut kaam ane wala tha aage jaakar. Ravi Rider se mil nahin paaya, usse maafi bhi nahin maang paya. Wo to yahi sochta raha ki Rider use ab bhi apna dushman samajh raha hoga lekin kya Rider bhi aisa hi kuch sochta hai. Aage pata chalega.

 

Episode 2

 

Rider to chala gaya lekin Ravi aur Pawan ki dosti aur bhi gehri hoti gayi. Lekin ab Pawan mein vyaktitva mein ek badlav sa aa gaya tha jise dekhkar Ravi hairan tha. Jo Pawan ladkiyon ko dekhkar sharmata tha ab seedha baat shuru karne se bhi nahin jhijhakta tha. Usne kai baar Pawan se iske baare mein poocha lekin har baar Pawan ka ek hi jawab tha "Pata nahin yaar ye sab kaise ho gaya.


Shayad Rider ki wajah se". Khair jo bhi ho Ravi bahut khus tha ki Pawan haalat ka saamna karna seekh gaya. Kal ko agar wo dono ek saath na bhi huye to bhi ye akele sab musibaton ka saamna kar sakega.


Dheere dheere is baat ko ek saal beet gaya aur dono dost 11th mein aa gaye. Haan ye baatein tab ki thi jab dono 10th mein the. 11th mein aane ke baad dono ko dubara admission lena tha kyunki jis school mein ye pad rahe the wo sirf 10th tak tha. Dono ne kai school ki khaak chani lekin kahin safalta nahin mili. Iska karan ye tha ki dono ke alag alag subjects mein alag alad numbers the. Kahin bhi dono ka saath mein admission nahin ho raha tha. Kisi school mein Pawan ka ho jata lekin Ravi ka nahin to kisi school mein Ravi ka ho jata Pawan ka nahin. Lekin dono dost ne faisla kiya hua tha ki kahin bhi admission mile dono saath mein hi lenge.


Lekin kehte hain na "JAHAN CHAH WAHAN RAAH" dono ko dhoondhte huye aakhir ek school mil hi gaya jo Co-ed tha matlab jahan ladke ladkiyan saath mein padhte hain. Dono ko fees jama karni padi jisme Ravi ne Pawan ki pehli baar financially help ki. Aaj tak to kewal khane peene par hi kharch hota tha lekin padhai ke liye kharch pehli baar huya tha. Pawan ne bahut mana kiya kyunki wo ek khuddar banda tha lekin Ravi ke aage uski ek na chali. Dusra wo ye sochkar bhi dheela pad gaya ki agar is school mein bhi admission nahin liya to pata nahin aage unhe kisi school mein saath mein admission mile bhi ya nahin.


Pawan aur Ravi ne naye school mein admission to le liya lekin is school ke saath unse taalmel nahin baithaya jaa raha tha.


Karan ye tha ki pehle wo sirf ladko ke saath padhte the jahan hansi majak, ek dusre ki taang kheenchna aur masti karna unki roz ki aadat thi. Dusra wo wahan kaafi samay se padh rahe the to us school ki yaadein unki nas nas mein bhari padi thi. Jabki is school mein sab naya tha. Co-ed tha to jahir hai ladkiyan bhi thi. Ab ladkiyon se baat kaise ki jaye. Unhe kyun aur kaise dost banaya jaye aise kai sawaal Pawan aur khaskar Ravi ke dimaag mein chal rahe the.


Lekin waqt dheere dheere sab sikha deta hai. Aise hi kuch din gujar gaye to sabse dosti bhi honi shuru ho gayi. ladkon se hui to hui kuch ladkiyon se bhi ho gayi. (Sirf Dosti aur jyada kuch nahin), Ab jyada isliye nahin kyunki Ravi ko pyaar vyaar mein vishwas nahin tha (Ab aap log kahoge Shahrukh ki movie se inspired karke update dala hai). Aisa nahin hai ki bilkul vishwaas nahin tha lekin uski himmat hi nahin hoti thi ki kisi ko I LOVE YOU bol de. Baat khub karta tha ladkiyon se aur ladkiyan bhi usse lekin koi pasand bhi aa jaye to ye teen words wo chah kar nahin bol sakta tha. Khair usne kabhi koshish bhi nahin ki in sab baton ko sochne tak ki bhi.


Lekin Pawan ka jahan vyaktitva change hua to uska najariya bhi change ho gaya. Jahan pehle wo sharmata tha ab bedhadak har ladki se baat karna shuru kar deta tha. Ravi se ladkiyon ki dosti usi ki badaulat huyi thi. Agar Pawan nahin hota to shayad Ravi ki koi lady dost bhi nahin hoti. Pawan dosti shuru karta aur sab aapas mein milkar school time enjoy karte. Dheere dheere Ravi bhi khulne lag gaya. Ab pehle ki tarah jyada sharmata nahin tha lekin pyaar vyaar ke chakkar mein ab bhi nahin padhta tha.

 
Aise hi masti karte huye ek saal beet gaya aur dono achhe numbers se paas hokar 12th mein aa gaye. Class change huyi to kuch purane dost saath bhi aaye jo paas ho gaye the to kuch chut bhi gaye jo fail ho gaye the. Lekin dono ko koi farak nahin padhta tha kyunki wo dono to saath hi the. 

 

Lekin kya aisa hoga ?


12th Class mein aane se dono par padhai ki jimmedariyan badh gayi taaki khub padh kar acche numbers laaye aur kisi acche college mein admission le. Lekin wohi hota hai jo kismat mein likha hota hai. Kehte hai aadmi agar mehnat kare to kismat ka likha bhi jhutla sakta hai lekin mehnat kare tab na. Ab Ravi to jor shor se padhai mein lag gaya lekin Pawan ka jeewan to ekdum se badal gaya.


Jahan wo bas padhai mein dooba rehta tha wahin ab masti, hasi- majak, khel-khood aadi mein uski dilchaspi badh gayi thi. Had to tab ho gayi jab usi class mein RIYA ne admission le liya. 


Riya us school ke pass hi rehti thi isliye wo paidal hi aaya jaaya karti thi. Subah ghar se school aayi aur dopahar ko school se ghar chali gayi. Kisi se na bolna, naa kehna bas apni padhai mein mast rehna. Class mein khali period ho to bhi wo bas kitabein khol kar bethi rehti thi. Haan is dauran uski kuch saheliyan bhi ban gayi thi lekin ladko se dosti na baba na bilkul nahin. Wo to kisi se baat tak nahin karti thi. Lekin apne Pawan ka dil aa gaya tha us par use pehli baar dekhte hi. Wo kehte hain na Love at First Sight.
 

Lekin pyaar ek tarfa tha. Pawan jab bhi usse baat karne ki koshish karta to uski taraf se positive response na milne ki wajah se udaas ho jata. Usne aur dusri ladkiyon ki bhi sahayata li lekin koi fayda nahin huya. Thak haar kar usne Ravi se is baare mein kaha (Pehle isliye nahin kaha kyunki use malum tha ki Ravi ko in sab baton mein interest nahin hai). Ravi ne use kaafi samjhaya ki pehle yaar padhai par dhyaan do, college mein admission lena hai, acche numbers se paas hona hai. Ladkiyon ka kya hai college mein bahut mil jayengi wahan pata lena. 

 
Lekin kehte hain na Saawan ke andhe ko har jagah hara hara hi dikhta hai. Wohi haal apne Pawan ka bhi tha. Na din ko chain na raat ko aaram. Padhai mein uska man lagna kam ho gaya. Sirf Riya ke baare mein sochna aur usi ki baatein bolna. Ab padhai se berukh ho gaya to Ravi ko to kuch karna hi tha so usne apne aap hi double notes banane shuru kar diye bagair Pawan ko bataye. Kyunki use maloom tha ki Pawan ab ishq mein giraftar ho gaya hai to wo kisi kaam ka nahin raha.  Pawan ke liye bhi mehnat use hi karni padegi. Aur sahi waqt aane par uske sar se pyaar ka bhoot bhi utar dega.


Riya ko bhi ahsaas ho gaya tha Pawan ke pyaar ke baare mein par pata nahin ki wo darti thi yaa jhijhakti thi yaa shayad wo Pawan se pyaar nahin karti thi yaa aur koi uske dil mein koi aur tha. Khair jo bhi baat thi wo bas apne mein hi mast rehti thi. Kuch khoyi khoyi si, kuch sharmayi sharmayi si. Uski muskaan ekdum manmohak dil ke andar tak utar jaane wali thi shayad usi ko dekhkar apna Pawan dil de baitha tha. Lekin kehte hain na If there is a will, there is a way.


To ek din achanak sab kuch badal gaya.


Ek din roz ki tarah Pawan Riya ko class mein baithe baithe dekh raha tha taktaki lagaye huye aur Riya embarrassment feel kar rahi thi lekin sankoch vash kuch bol nahin pa rahi thi. Halanki ye ghoorna pyaar bhara tha yaa yu kahiye ghoor nahin raha tha dekh raha tha jiska ehsaas Riya ko bhi tha. Aise hi dekhte dekhte padhte padhte chaar period nikal gaye aur recess ho gayi. Recess hone par sab khana khane bahar park mein jaane lage. 


Hamari class first floor par thi to seedhiya utarkar jaana tha. Riya bhi uthkar jaane lagi to Pawan bhi uske peeche peeche chalne laga.


Ravi ne poocha bhi ki “Abe kahan ja raha hai” to Pawan ne kaha “Yaar aaj bahut bhook lagi hai bahar kuch kha kar aate hai (Kyunki hum log Luch mein tiffin nahin late the). To Ravi ne kaha “yaar mujhe bhook nahin hai tu kha kar aa jaa jaldi”. Bas itna sunte hi Pawan turant class se bahar nikal gaya.


Udhar Riya seedhiya utar rahi thi to usne Pawan ko apne peeche aate dekha, Uska dil badi joron se dhadak raha tha. Wo baar baar Pawan ko mud mud kar dekh rahi thi aur seedhiyan utar rahi thi ki achanak uska balance bigad gaya aur wo ladkhada kar neeche gir padi. Ye to shukar hai ki seedhiyan khatam ho gayi thi aur wo dusri ya teesri seedha se hi giri thi. Girne ki der thi ki Riya ka dard ke maare rona shuru. 


 Pawan daudta hua uske paas aaya aur poocha ki “Riya kya hua, kaise gir gayi”. Riya ab kya bole ki tumhare wajah se giri. Usne kaha ki kuch nahin paan fisal gaya tha. Iske baad Riya ne uthne ki koshish ki lekin usse utha nahin gaya. Uske pair meein moch aa gayi thi. Pawan use sahara dekar park mein le gaya aur uska pair dekhne laga. 


Riya ko bahut sharam aa rahi thi lekin dard ke maare uski jaan nikli jaa rahi thi isliye wo kuch nahin boli. Pawan ne uske najuk najuk gore pair apne ghutne par rakhe aur ek halka sa jhatka diya to kadak ki awaaz ke saath paanv ki nas chatak gayi. Ek pal ko to Riya ki aankhon ke saamne andhera cha gaya lekin agle hi pal use bahut aaram mehsus huya. Halanki dard ab bhi tha lekin utna nahin jitna pehle tha. Usne Pawan ko thanks bola lekin Pawan ne kahan


 “Anything for you Riya”. Riya ye sunkar sharma gayi.


Dono wahin baith gaye aur aapas mein ek dusre ko batane lage. Idhar Recess kab ki khatam ho gayi thi lekin Pawan aur Riya dono hi class mein nahin aaye the. Ravi ko chinta ho gayi ki Pawan ne to aaj tak class bunk nahin kari aaj kahan chala gaya. Kahin Riya ke peeche peeche to nahin gaya. Lekin Riya to use ghaas bhi nahin dalti. Kahin Riya ne use pitwa to nahin diya. Kahin dono kisi musibat mein to nahin phas gaye. Aise bahut se khyaal Ravi ke dimaag mein achanak aane lage. 


Use dono ki chinta satane lagi khaskar Pawan ki lekin aise wo class chodkar bhi nahin ja sakta tha. Bas class mein baithe baithe usne bhagwan se prathna karni shuru kar di ki wo un dono ki raksha kare. Ravi ne socha agla period Game period hai to us time wo jaakar pata karega ki ye dono kahan reh gaye.

 
Idhar Pawan ne apne baare mein saari baatein Riya ko bata di. Kaise wo aur Ravi dost bane, uske parents nahin hai aur wo apne mama mami ke ssath rehta hai. Apni hobbies, rehan sehan, khane peene ki aadtein sab baatein usne Riya ke saamne khol kar rakh di. Riya uski baatein sunkar bahut impress ho gayi kyunki Pawan ki har baat mein sachhai jhalakti thi. Riya ne bhi apne baare mein bataya ki wo aur uski behan bas do jane hain wo. Papa doctor hai aur paas mein hi unka clinic hai. Mummy housewife hain aur behan filhaal 11th mein doosre school mein padhti hai.
 

Isi tarah dono baith kar hansi-majak karte rahe aur pata nahin kya kya baatein karte rahe. Idhar Game period bhi shuru ho gaya to Ravi class se bahar nikla aur charon taraf dhundhte dhundhte park mein pahunch gaya. Wahan dono ko ek saath baitha dekhkar chaunk gaya aur seedha unki taraf badh gaya.

To be continued..

   22
18 Comments

Kareem

13-Jan-2022 08:39 PM

Nicee

Reply

Swati chourasia

12-Oct-2021 07:10 PM

Very nice👌

Reply

Anjali Haridas

22-Sep-2021 02:41 PM

Nice work ❤️

Reply